Monday, December 2, 2013

Yaadon Ka Pitara

MERA APPRAISAL

Appraisal ke naam par ek lambi aah bharte hain,
chaliye ab hum is "dukhad" kahani ki shuruat karte hain,

hamehsa ki tarah 10 baje thumakte hue office aaya,
11 baje tak nashta kiya aur barah baje tak mail hi padh paya,

hamesha ki tarah aaj bhi mujhe alas aa raha tha,
aur mera PM mujhe tirchi nigaho se dekh-dekh gussa raha tha,

main bade concentration ke sath ek "Careful" mail padh raha tha,
tabhi dekha mere PM ke naam ka naya mail kone main blink kar raha tha,

phir koi traini n g attend karni hogi, ye kya bakwas hai,
kya reply main likh dun ki mere mailbox ka upwas hai ?

maine aankhen band ki aur 10 bar "om" "om" bola,
aur pranam karte hue maine wo mail khola,

PM ke is s mail main ek ajeeb sa sukoon aur bholapan hai,
likha hai bhaiyon appraisal letters aa gaye,ab to one-to-one hai,

mann main aise bure bure khayal aa rahe the,
upar se kuch log mere "de-appraisal" ki gandi affvah uda rahe the,

PM ko letter laate dekh har koi use dekhta jata hai,
jaise mallika ke kisi naye gane ko dekha jata hai,

akhir wo waqt aaya,
PM ne ek ek kar sabko ander bulaya,

jo bhi ander jata hansta hua jata,
jo bahar aata , murjhaya hua aata,

bahar aa kar insaan sambhal bhi nahi pata hai,
ki "kitna hua kitna mila" har koi uspe toot jata hai,

kisi ek ko appraisal main 2000 rupaye mile the, main uski hansi uda raha tha,
tabhi maine dekha mera PM ishare se mujhe ander bula raha tha,

main confidence se utha aur age kadam badhaya,
tabhi meri belt ka buckle toot ke nikal aya,

meri halat to abhi se hi buri ho gayi,
sala izzat utarna to yahi se shuru ho gayi,

main ander pahuncha aur PM ne mujhe bithaya,
usne mera letter padha aur wo hansi rok na paya,

woh itna hansa ki usse ansu aa gaye,
kya mere appraisal digits usse itne bha gaye,

jaise hi usne appraisal letter meri taraf badhaya,
meri ankhon ke age ghanghor andhera chaya,

mujhe laga jaise meri dil ki deewar ko kisi ne gobar se pota hai,
are yaar "bees rupaye" ? ye bhi koi increment hota hai ?

ye software indusrty hai akhada nahi hai,
ye "SALARY INCREMENT" hai , Dadar ane-jane ka bhada nahi hai,

meri charon taraf kali ghata chayi,
tabhi mere PM ki soothing awaz ayi,

tum soch rahe hoge ke company mgmt ka dimag phir gaya hai,
par beta hum kya karen , dollar ka bhav 2 rupaye jo gir gaya hai ,

par phir bhi mujhe lagta hai, ye letter fake hai,
mujhe to lagta hai ye printing mistake hai,

tum HR main jao,
aur ye confirm karke ao,

bhai HR main jane ke liye taiyyar hona padta hai,
wahi to aisi jagah hai jahan sunder ladkiyon se pala padta hai,

shitt!! jahan "Renuka " baithi hai, aaj whan baitha "Aftab" hai,
main samajh gaya beta, aaj apna badluck hi kharab hai,

usne mera letter khola,
aur khush ho ke bola,

wo bola sir aap ke liye khushkhabri hai,
aap ke letter ne "Printing mistake" pakdi hai,

maine kaha boss ab der na lagayen ,
aur mujhe mera actual amount batayen,

sorry sir ye mistake just by accident hai,
bees rupaye nahi , do rupaye aap ka increment hai,

main kya karun aap ko ye batete hue mera dil ro raha hai,
par kya karen dollar ka bhav bhi to kam ho raha hai,

main bas wahan khada tha ,kuch samajh nahi aa raha tha,
mujhse zyada increment to security wala pa raha tha,

maine khud ko sambhala, khud ko uthaya ,
main lauta aur seedhe PM ke pass aya,

main seedha uske cabin gaya aur darwaza khola,
is se pehle ki wo bole, main hi us se bola,

sir ye paise wapis le lijiye, baat karna fizool hai,
main gareeb hun, par bheekh nahi leta ye mera usool hai.

Wednesday, December 14, 2011

Ek BooNd (A Raindrop)



Jyon nikal kar badlon ki god se
thi abhi ik boond kuchh aage badhi
sochne phir phir yahi jee men lagi
aah ghar chhod kar main kyon yon kadhi


dev mere bhagya mein hai kya bada
main bachoon gi ya miloon gi dhool mein
ya jaoon gi gir angaare par kisi
choo padun gi ya kamal ke phool mein


bah gayi us kaal ik aisi hawa
vah samander ki or aayi anmani
ek sunder seep ka moohn tha khula
vah usi mein jaa padi moti bani


log yuh hi jhijhkate sochte hain aksar
jab ki un ko chhodna padta hai ghar
kintu gha ka chhodna aksar unhen
bool loun deta hai kuchh aur kar.







Wednesday, November 23, 2011

"Socha Hai kya Kabhi"



Aasma Hai Neela Kyun, Paani Geela Geela Kyun Gol Kyun Hai Zameen
Silk Mein Hai Narmi Kyun Aag Mein Hai Garmi Kyun, Do Aur Do Paanch Kyun Nahi
Pedd Ho Gaye Kum Kyun, Teen Hain Ye Mausam Kyun Chaand Do Kyun Nahi 
Duniya Mein Hai Jung Kyun Behta Laal Rang Kyun, Sarhaden Hain Kyun Har Kahin
Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Hai... Socha Nahi To Socho Abhi...


Behti Kyun Hai Har Nadi, Hoti Kya Hai Roshni Barf Girti Hai Kyun 
Dost Kyun Hain Roothte Taare Kyun Hain Toot The, Baadlon Mein Bijli Hai Kyun
Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Nahi To Socho Abhi...


Sannata Sunai Nahin Deta, Aur Hawayen Dikhayi Nahin Deti
Socha Hai Kya Kabhi, Hota Hai Yeh Kyun............


Aasma Hai Neela Kyun, Paani Geela Geela Kyun Gol Kyun Hai Zameen
Silk Mein Hai Narmi Kyun Aag Mein Hai Garmi Kyun, Do Aur Do Paanch Kyun Nahi
Pedd Ho Gaye Kum Kyun, Teen Hain Ye Mausam Kyun Chaand Do Kyun Nahi 
Duniya Mein Hai Jung Kyun Behta Laal Rang Kyun, Sarhaden Hain Kyun Har Kahin
Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Nahi To Socho Abhi...


Socha Hai... Yeh Tumne Kya Kabhi
Socha Hai... Ki Hain Yeh Kya Sabhi
Socha Hai…
Socha Nahi To Socho Abhi...

Friday, October 28, 2011

"Dil aakhir tu kyun rota hai"





Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai


Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
























Thursday, September 1, 2011

Meri Maa

mother and child care picture and wallpaper


Ek Pedh Jisne Kabhi Mujhe Dhup Lagne Na Di,
Apne Aanchal Mein Chupa Ke Rakha Nazar Kisi Ki Lagne Na Di


Yaad Ate Hai Bachpan Ke Din Jab Tu Mujhe Khilati Thi,
Har Bar Rone Par Tu Hi Mujhe Hasati Thi


Achi Neend Ke Liye Naajane Kaha Kaha
Se Nayi Loria Aur Kahaniya Lati Thi,
Ro Padhta Hai Yeh Dil Yad Karke Woh Din
Jab Haatho Se Apne Khana Khilati Thi


Teri Ungli Pakad Ke Maine Chalna Sikha,
Teri Hi Aankho Se Yeh Sansar Maine Dekha.
Bhagwan Khud Na Aa Ska Is Liye
Shayad Tujhe Mere Liye Bhej Diya,


Nhi To Woh Bhi To Hai Yaha Jinhe Lawaris Hi Sansar Mein Chod Diya.
Aaj Fer Teri God Mein Sone Ko Dil Kare,
Tere Hatho Se Khane Ko Dil Bekrar Hai


Yad Aa Gaye Woh Sunhere Din,
Dil Aaj Bhi Us Samay Mein Jane Ko Bekrar Hai
Bas Ab Yadein Hi Reh Gyi Yaad Karne Ko,
Bachpan Lot Ke To Aa Nhi Sakta,


Tujhe Kitna Chata Hu Maa
Tujhe Kabhi Yeh Bta Nhi Sakta
Mera Har Saans Tera Ehsan Hai..
Jab Chahe Ise Le Lena,
Chod Ke Na Jana Kabii Chahe
Meri Sanse Bhi Mujhse Le Lena