Tuesday, July 26, 2011

"Bachpan"

Wo Mere Bachpan Ke Din
Lamha Lamha Nadanion Ke Din

Wo Bar Bar Khilono Se Khelna
Wo Ukta Ker Un Ko Torna Phorna

Wo Aaker Madari Ka Dugdugi Bajana
Aur Nae Nae Bunder Ke Kurtab Dikhana

Wo Talian Bach'chon Ka Huns Ker Bajana
Aur Kehna Ke Uncle Zara Phir Se Dikhana

Wo Be-Fikr Galyon Mein Phirna Phirana
Wo Be baja Gharon Ki Ghanti Bajana

Wo Bin Pooche mummy Se Naddi Pe Jana
Aur Kaghaz Ki Kashti Bana Ke Bahana

Wo Uktahat Se School Ka Busta Uthana
Aur Chutti Ka Sun Ke Hansna Hansana

Wo Idhar Se Udar Uchal Kood Kar
Nachna Barish Ki Duaa Mang Kar

Shaoor Ne Aakar Aqal Soi Jagadi
Aur Cheen Li Mujh Se Meri Aazadi

Aur Khatam Hoi Meri Bachpan Ki Kahani
Bare Hoke Badal Gai puri Zindegani

Monday, July 25, 2011

" Main chota sa aik bacha tha"

cryingemo


Main chota sa aik bacha tha
teri ungli tham k chalta tha

Tu Door Nazar se hoti thi
Main Ansoo Aansoo rota tha

Ek khawabon ka roshan basta
Tu roz mujay pehnati thi

Jab darta th main raton ko
Tu apne sath sulati thi

Maan tune kitne barson tak
Es phool ko seencha hathon se

jeevan k poshida razon ko
Main sajha teri baton se

Main tere hath k takiye per
Ab bhi raat ko sota hon

Maa main aik chota sa bacha hon
Teri yaad main aaj bhi rota hon

"Dil Mera Aaj Bhi Qun Lagta Mujhe Chota Bachcha"


Dil Mera Aaj Bhi Qun Lagta Mujhe Chota Bachcha
Mujh Ko Lag Te Sabhi Sach Che Ya Mera Dil Sachcha
Mein Kisi Mein Bhi Burai Ko Nahi Padh Ta Hun,
Us Mein Achchai Hai Kitni Or Dil Kitna Sachcha,
Koi Bhi Dunia Mein Achcha Na Bura Hota Hai,
Waqt, Halaat, Banaa Dete Hain Jhuta Sachcha,
Har Insan Se, Insaniyat Se Pyar Karo Saab Tum,
Wo Ameer Hai Ya Garib Na Dekho Bachcha,
Pyaar Sab Se Jo Karoge To Khushi Paoge,
Har Kisi Ko Jo Lagaaoge Gale To Hai Achcha,
Pyaar Wo Cheez Hai Kam Hoti Nahi Dene Se Kabhi,
Jitna Bhi Do Ge Sabhi Ko To Hai Wo Achcha,
Pyaar Tum Ko Jo Kare Tum Bhi Karo, Badi Baat Nahi,
Joo Nahi Karte Tum Hai Pyar, Unko Karo Tab Hai Achcha,
Pyar Insaniyat Or Wafaa Ke Wade Sab Karo,
Or Phir Un Ko Bhulao Na Tum Tab Hai Achche,
Dukhon Mein Sath Khadha Ho Jab Koi Dost,
Wahi Hai Dost Tumhara Whi Bas Hai Achcha,
Khushi Mein Laakh Na Jao Kisi Ke Beshak Tum,
Gamon Mei Jake Gaale Sab Ko Lagaao Tab Hai Achcha,
 Apni To Ye Hi Dua Hai Sabhi Ke Liye Ae Jahaan Walo,
Har Ak Ka Dil Moom Ho, Har Ak Ban Jaaye Achcha.

Wednesday, July 20, 2011

"Bachpan Ki Ek Barsat"

Rainy Day Drawing wallpaper for HD 16:9 High Definition WQHD QWXGA 1080p 900p 720p QHD nHD ;


Bachpan Ki Ek Barsat
Barish Ka Wo Mausam Ho
Rim-Ghim Girti Bundaen Hoon
Nani Ka Wohi Angna Ho
Paeroon Main Wohi Payaliya Ho
Socha Kaise Bachauun Khud Ko
En Pagli Bundoon Sae
Tip-Tip Kar K, Mare Chahrae Pae
Moti Girae To Bawali Hogae Main
Hawa K Jhoonkae Jo Ae To
Saundhi Mitti Ki Khushbu Nasha De Gae Mujh Ko
Chanchal Payliya Nae Shoor Machaya To
Khud Ko Sambhal Nae Ko Main Bhagi
Par Na Jana Na Samjha
Chat Par Main Kaise Pahuch
Phir Wohi Bachpan Laut Aya
Phir Wohi Barish Nachna
Wo Kagaz Ki Kashti Main Dujae Des Jana
Phir Wohi Nani Ki Dant Khana
Nani Ka Wo Kehna Pardes Sa Aee Char Din Ki Mehman Hai Tu
Ho Na Jae Kahin Bemar Tu
Phir Nani Ki Goodi Main Sir Rakh Kar
Pariyon K Des Main Ghumna
Mamta Ki Us Godi Main Methe Nindiya Main Kho Jana
Kya Kisi Khab Se Hoon Jage Koi To Batade
Wakht Ko Koi To Pechae Modh Dae
Bita Wo Ek Hi Pal Koi Lauta De
Pardes Se Phir Ae Hai Yeh Teri Bitiya Par
Nani Yeh Ghar Ab Suna-Suna Lage
Tere Bin Yeh Barish Bhi Tufan Lage
Kis Des Ko Ho Gae Ki Ana Hi Bhuul Gae
Barish Se Huun Bhigi Ya
Ansuoon Main Huun Naha Gae Kya Kahoon
Bas Woh Bacnpan Ki Ek Barsat Laout Aee
Dil Bas Yahi Dua Mangae

"Wo Bachpan Ke Rangeen Khayalon Ki Duniya"

Wo Bachpan Ke Rangee.N Khayalon Ki Duniya;
Wo Dadi Ke Kisse Sawalon Ki Duniya .
Kahan Hain Wo Mere Khiloune Kahan Hain ;
Wo Chhoti Si Asha Ki Chhoti Si Duniya.
Wo Papa Ki Wahon Ka Jhoola Kahan Hai;
Wo Mitti Ki Haandi Wo Chulha Kahan Hai;
Kahan Hai Wo Mere Chaheeton Ki Mehfil;
Wo Jugnu, Wo Titly Sitaron Ki Duniya .
Ye Duniya Nahi Hai Luteron Ka Gher Hai;
Yahan Be-Imani Hi Sham-O-Shaher Hai;
Gunahon Se Dhokhon Se Mujhko Bacha Lo;
Khudaya Dila Do Wo Mashoom Duniya.
Mujhe Neend Aane Lagi Hai Na Chhedo,
K  Mai Aaj Yaro Bahut Thak Gaya Hoon;
Mujhe Raston Ka Tajurba Nahi Hai ;
Yehi Sochker Mai Jara Ruk Gayaa Hoon.
Meri Maa K Aanchal Mein Mujhko Sula Do;
Wahi Hai Wahi Haan Wahi Meri Duniya.

"Bachpan ke yadien"

Bachpan ke wo din the suhane, 
apna sa har pal hota tha
kabhi abbu ki dati kabhi 
ammi ka aanchal hota tha

ab to gaddo pe bhi neend ati nahi, 
aur sote the tab hum khali zamee par bhi
Jab ammi lori sunati thi, 
paththar bhi makhmal hota tha

ab to kisi ko bhi fursat nahi hai
ke do baat karle zara baith kar bhi 
tab hum ghanto milte the 
aur waqt bhi chanchal hota tha

kabhi to waqt laut ke aye
jab hum mahsoos kare befikripan
koi fikar na dimaag mein hoti
aur dil bhi komal hota tha

"Mera bachpan yahin pe tha"

Yahin pe tha mera bachpan, yahin kahin pe tha
yahin hansa tha
yahin kahi pe roya tha
yahin darakhton k saye main
 thak k soya tha
yahin pe jugnuon se apni bat chalti thi
wo hansi jo har pal sath chalti thi
yahin pe tha wo larakpan
yahin kahin pe tha
yahin pe Maa mujh ko seeny lagaye rakhti thi
yahin pe papa ne ik bar kaan khincha tha
shararat kisi aur n ki thi saza mujhy thi mili
main kitni dear khara dhoop main raha tanha
tamam yar mery khush meri saza pe thy
yahin pe tha wo larakpan yahin kahin pe tha

Monday, July 18, 2011

"Bachpan Ke Din"




Bachpan Ke Din.....




Chaloo phr dhoond layain ham......Usi masoom bachpan ko


 Jahan sapna sajaya tha.......Jahan jeewan bitaya tha

Jahan Pairoon k saay main...........Gharoonda ik banaya tha.





Ye Daulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le LoBhale Cheen Lo Mujhse Meri Jawaani 
Magar Mujhko Lauta Do Bachchpan Ka Saawan
Wo Kaagaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani

Mohalle Ki Sabse Nishaani Purani
Wo Budhiya Jise Bachche Kehte The Naani
Wo Naani Kee Baaton Mein Pariyon Ka Dera
Wo Chehre Ke Jhuriyon Mein Sadiyon Ka Phera
Bhulaaye Nahin Bhool Saqta Hai Koi
Wo Choti See Raaten Wo Lambi Kahaani

Kadi Dhoop Mein Apne Ghar Se Nikalna
Wo Chidiya Wo Bulbul Wo Thithli Pakadna
Wo Gudiya Ki Shaadi Pe Ladna Jhagadna
Wo Jhoolon Se Girna, Wo Gir Ke Sambhalna
Wo Pithal Ke Challon Ke Pyaare Se Tho'fe
Wo Tuti Hui Chudiyon Ki Nishaani
Kabhi Re't Ke Oonche Tilon Pe Jaana
Gharonde Banana, Banaake Mitaana
Wo Maasoom Chaahat Ki Tasveer Apni
Wo Khwabon Khilono Ki Taabir Jaageer Apni
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan

Badi Khoobsoorat Thi Wo Zindgaani ..........



 
Tum ne barishon ko mehaz barste dekha hai
Main ne aksar barishon ko kuch kahte sunte dekha hai
Tum dekht ho barishon ki jaal-thal her saal
Main ne barsat ko baar haa palkon pe machalta dekha hai
Kesay mangoon phir barsata sawan apne Rub se?
Ke in aankhon ne bastion ko sawan mian ujarte dekha hai
Seekh gay hum barishon ko apne ander utarne ka fun
Aur phir sub ne humain her pal har dum hanste dekha hai










                                      Y A A D E I N (M E M O R I E S) 


 Bar bar aati hai mujko, madhur yaad bachpan teri, gaya le-gaya tu jeevan ki sabse madhur khushi meri...
mujhei yaad aati hain bachpan ki yaadein
Bar bar aati hai mujko, madhur yaad bachpan teri, gaya le-gaya tu jeevan ki sabse madhur khushi meri...


   woh khilana woh hansna woh gaana
woh chatt pey phir chadhkey patangein udana
woh lamba danda jo haathon mein merey
urhti hui haseen patangein churana
manjhey sey lipti patangein urhana
mujhewy yaad aati hain bachpan ki yaadein
woh saathi sey ladhna ya ho jhagadna
ek paol mein hi phir ussey lipatna
na dil mein khalish thi,na koi aham tha
sang phir uskey roti ka khana
kahan ab woh din hain kahan hain woh raatein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein


   

aamon key perhon pey jhat pat charhna
 pairon ka merey woh mitti mein garhna
rona hi khud par phir khud pey hi hansna
aambva key perhon ki chaoon mein sona





. na woh chaoon hain ab na hain na hain baharein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein
chooti baaton pe rota tha ji bhar
  



nanhi si khushi sey hansta tha din bhar
nanhi si khushi sey sub ghum bhol jaana
woh lori ka ga kar behen ko sulana

na khushiyan hain ab woh na hain woh ratein
mujhey yaad aati hai bachpan ki baatein



aur ab........ 



 na patango naata hai na maanjhey sey rishta
na ambiya sey yaari na pedhon sey rishta
na mitti hai woh ab na lori ki chahat
na saathi sey mohobat na koi aahat



 na maa ka hai aachaal na kisi ki mohobbat
na sir ki charhi hai naa unki dantein
na phoolon mein mehek hai na neendon ki raatein

khushiyan nahin hain bus ghum hi ghum hain
kaisi bataoon main jawani ki baatein.