Wednesday, July 20, 2011

"Wo Bachpan Ke Rangeen Khayalon Ki Duniya"

Wo Bachpan Ke Rangee.N Khayalon Ki Duniya;
Wo Dadi Ke Kisse Sawalon Ki Duniya .
Kahan Hain Wo Mere Khiloune Kahan Hain ;
Wo Chhoti Si Asha Ki Chhoti Si Duniya.
Wo Papa Ki Wahon Ka Jhoola Kahan Hai;
Wo Mitti Ki Haandi Wo Chulha Kahan Hai;
Kahan Hai Wo Mere Chaheeton Ki Mehfil;
Wo Jugnu, Wo Titly Sitaron Ki Duniya .
Ye Duniya Nahi Hai Luteron Ka Gher Hai;
Yahan Be-Imani Hi Sham-O-Shaher Hai;
Gunahon Se Dhokhon Se Mujhko Bacha Lo;
Khudaya Dila Do Wo Mashoom Duniya.
Mujhe Neend Aane Lagi Hai Na Chhedo,
K  Mai Aaj Yaro Bahut Thak Gaya Hoon;
Mujhe Raston Ka Tajurba Nahi Hai ;
Yehi Sochker Mai Jara Ruk Gayaa Hoon.
Meri Maa K Aanchal Mein Mujhko Sula Do;
Wahi Hai Wahi Haan Wahi Meri Duniya.

No comments:

Post a Comment