Tuesday, May 17, 2011

"Na Chemistry Hoti Na Love Hota"

Na Chmistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota

Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi

Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Ester ki Khushboo bhi sath thi

Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol ka Khumar

Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Ahsas

Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua

Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus key charon taraf Electron hon jaise

Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua

Sun kar hamari baat wo aisay Uchal pari
Ignesiun Tube main jaise Sodium Bharak uthe

Wo boli, Hosh main aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath

Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur hum Chup rahay Benzaldehyde ka Karwa Ghoont pee ker

Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha

Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah

Saturday, May 7, 2011

Funny Cool Boy


"Last Day of College"

Raah dekhi thi is din ki kabse,
Aage ke sapne saja rakhe the naajane kab se.
Bade utavle the yahaan se jaane KO,
Zindagi ka agla padaav paane KO.

Par naa jane kyon ..Dil mein aaj kuch aur aata hai,
Waqt ko rokne ka jee chahta hai.

Jin baton ko lekar rote the Aaj un par hansi aati hai,
Na jaane kyon aaj un palon ki yaad bahut aati hai .

Kaha karte the ..Badi mushkil se char saal seh gaya,
Par aaj kyon lagta hai ki kuch peeche reh gaya.

Na bhoolne wali kuch yaadein reh gayi,
Yaadein jo ab jeene ka sahara ban gayi.

Meri taang ab kaun kheencha karega ,
Sirf mera sir khane kaun mera peecha karega.
Jahaan 2000 ka hisaab nahin wahaan 2 rupay ke liye
kaun ladega,

Kaun raat bhar saath jag kar padega ,
Kaun mere naye naye naam banayega.
Mein ab bina matlab kis se ladoonga,
Bina topic ke kisse faalto baat karoonga ,

Kaun fail hone par dilasa dilayega,
Kaun galti se number aane par gaaliyaan sunayega .

Dhabe par Chaay kis ke saath piyoonga ,
Wo haseen pal ab kis ke saath jiyoonga,

Aise dost kahaan milenge Jo khai mein bhi dhakka de aayein,
Par fir tumhein bachane khud bhi kood jayein.

Mere gaano se pareshaan kaun hoga ,
Kabhi muje kisi ladki se baat karte dekh hairaan kaun hoga ,

Kaun kahega saale tere joke pe hansi nahin aai ,
Kaun peeche se bula ke kahega..aage dekh bhai .

Achanak bin matlab ke kisi ko bhi dekh kar paglon ki
tarah hansna,
Na jaane ye fir kab hoga .

Doston ke liye professor se kab lad payenge ,
Kya hum ye fir kar payenge,

Kaun muje mere kabiliyat par bharosa dilayega,
Aur zyada hawa mein udne par zameen pe layege ,

Meri khushi mein sach mein khush kaun hoga ,
Mere gam mein muj se zyada dukhi kaun hoga…

KEH DO DOSTON YE DOBAARA KAB HOGA ….????

"Bachpan Ka Zamana"

Tuesday, May 3, 2011

"Bachpan ki Harktey"

abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana
abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana


woh shuki suhki tangey woh dheela dheela pajama!!


woh barish ke paani mein kagaz ki kashtiyan chalaana!!


woh ghar ke fridge se Aam churana!!


woh tutti futti cycle ko badi shaan se chalaana!!


woh rasteey mein dekh ke teacher ko nazrein churana !!


woh nangey hi galiyooN mein bhagna bhgaana!!




class mein phataake bajakar teacheron ko daraana!!


abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana !!






yad kar o bhool janey waley
isi bat par amma ney kitna tha chimtey se mara


phirthey they har dam tum jo awara
too sada ka nikhatto nikamma awara


parrossan ki murghi chura kar wo khana
baghon se aam or phal tor lana


ghulel se babey ki topi orrana
babey ki cycle chori chori chalana


ye kartoot they bachpan mey tumharey
nachatey the tum to mohalley ko sarey


mashaghal they ye to bachpan key sarey
jawani key din to they iss sey bhi niarey

Monday, May 2, 2011

"Jab Mai Chhota Baccha Tha"

Wo waqt bada hi acha tha,
Jb main chhota baccha tha..

Goliya-Tofiya khata tha,
Us time petrol sasta tha,Pr main cycle chlata tha..

Na Ladkiyo ka zikr krta tha,
Na padhai ki fikr krta tha..

Na facebook pe status likhta tha,
Main to computer pe paint sikhta tha..

Tb yaar mere sb sath the,
Ab waqt ne apni chaal badli..

School chhod aa gye colege me,
Kyuki zindgi ka sawal h..

Yaha group me rhna pdta h,
Sorry,Thank-u bolna pdta h..

Par fir b,yaar mere puchte h,
Tu soona-soona kyu rehta h??

Main Jawab nhi de pata hu,
Bs chup-chap hi reh jata hu..

Fir aansu ponchh k kehta hu,
Tum sab jao,main aata hu..

Sb puchte Jb wajah,
To DIL sakht krke kehta hu-
Bas yaaro,Yaad aa gyi us waqt ki,

Jo waqt bada hi acha tha,
Jb main chota baccha tha..!!