Tuesday, May 3, 2011

"Bachpan ki Harktey"

abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana
abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana


woh shuki suhki tangey woh dheela dheela pajama!!


woh barish ke paani mein kagaz ki kashtiyan chalaana!!


woh ghar ke fridge se Aam churana!!


woh tutti futti cycle ko badi shaan se chalaana!!


woh rasteey mein dekh ke teacher ko nazrein churana !!


woh nangey hi galiyooN mein bhagna bhgaana!!




class mein phataake bajakar teacheron ko daraana!!


abhi bhi yaad aata hai woh guzra hua zamana !!






yad kar o bhool janey waley
isi bat par amma ney kitna tha chimtey se mara


phirthey they har dam tum jo awara
too sada ka nikhatto nikamma awara


parrossan ki murghi chura kar wo khana
baghon se aam or phal tor lana


ghulel se babey ki topi orrana
babey ki cycle chori chori chalana


ye kartoot they bachpan mey tumharey
nachatey the tum to mohalley ko sarey


mashaghal they ye to bachpan key sarey
jawani key din to they iss sey bhi niarey

No comments:

Post a Comment