Wednesday, July 20, 2011

"Bachpan ke yadien"

Bachpan ke wo din the suhane, 
apna sa har pal hota tha
kabhi abbu ki dati kabhi 
ammi ka aanchal hota tha

ab to gaddo pe bhi neend ati nahi, 
aur sote the tab hum khali zamee par bhi
Jab ammi lori sunati thi, 
paththar bhi makhmal hota tha

ab to kisi ko bhi fursat nahi hai
ke do baat karle zara baith kar bhi 
tab hum ghanto milte the 
aur waqt bhi chanchal hota tha

kabhi to waqt laut ke aye
jab hum mahsoos kare befikripan
koi fikar na dimaag mein hoti
aur dil bhi komal hota tha

No comments:

Post a Comment