Friday, June 24, 2011

"Bachpan ke Dukh"

Bachpan ke dukh kitne achche hote then,

Tab to sirf khilaune toota karte then,

Woh khushiyan bhi jane kaisi khushiyan thin,

Titlee ke parr noch kar uchhala karte then,

Chhote then to Makr-o-fareb bhi chhote then,

Daana daal kar chiriyan pakra karte then,

Paon maar ke barish ke pani mein,

Apni nao aap daboya karte then,

Apne jal jane ka bhi ehsaas na tha,

Jalte huye sholon ko chhera karte then,

Ab to ek aansoo bhi ruswa kar deta hai,

Bachpan mein jee bhar ke roya karte then.

2 comments:

  1. Are wah ji mannnu,
    Kaha se lata h ye sb kuchh....
    Apne aap bnata h ya Copy paste chalta h ....

    ReplyDelete
  2. copy paste nahi dost ye to sabke saath hota hai is liye maine bhi vahi kaha hai...........

    ReplyDelete