Monday, August 8, 2011

"Jism Ke Ek Kone Mein"




Jism Ke Ek Kone Mein Dil Hai Hum Sabke Paas
Maloom Nahi Zinda Hain Ya Marr Gaye Iss Ke Ehsaas


Samajhte Hain Hum Sab Khud Ko Darya Dil
Lekin Raah Mein Ek Chota Bacha Gaya Mil


Uss Ne Meri Puri Soch Badal Di
Mere Ehsasaas Ko Ek Nai Zindagi Di


Woh Masoom Sa Bacha Sarak Kinare Kuch Dhoond Raha Tha
Sardi Ke Maare Woh Buri Tarha Thatharr Raha Tha


Poochne Par Pata Chala Dhoond Raha Tha Woh Kuch Khaane Ko
Main Ne Kaha Kyun Zehar Dhoond Rahe Ho Marr Jaane Ko


Tan Pe Kuch Phate Huwe Kapre They Uss Ne Pehne
Haath Mera Thaam Kar Laga Woh Kehne


Bhaiya Bohat Dino Se Kuch Khaya Nahi Hai
Sarr Pe Mere Maan Baap Ka Saaya Nahi Hai


Ro Rahi Hai Bhook Ke Maare Meri Teen Saal Ki Behna
Kuch Khaaye Baghair Mushkil Hai Usska Chup Rehna


Yeh Sunn Ke Mera Kaleja Phat Gaya
Reh Gaya Main Bus Saktey Mein Khara


Sochne Laga Ho Sakta Hai Duniya Mein Itna Dard Kaisey
Yeh Soch Kar Usske Hath Mein Thama Diye Main Ne Kuch Paisey


Khushi Se Woh Bola, Kuch Kaam Do Ge To Karoon Ga
Saari Umr Aapko Duaayein Deta Rahoon Ga


Usski Khuddaari Mere Dil Ko Choo Gai
Dard Mein Usski Himmat Mere Dil Mein Utar Gai


Main Ne Ussey Poocha Parhne Kahan Jaate Ho
Woh Bola Sahab Kyun Ghareeb Ka Mazaaq Uraate Ho


Ban-Na Chahta Hoon Doctor Ek Sacha
Kar Sake Ilaaj Bin Paison Ke Bhi Acha


Kuch Soch Kar Unn Dono Ko Main Apne Ghar Le Aaya
Usski Zindagi Sanwaarne Ka Maqsad Dil Mein Banaya


Mere Bharose Ko Uss Ne Pura Kar Dikhaya
Apni Mehnat Se Doctor Ban Ke Saamne Aaya


Khushi Ke Maare Main Phoola Nahi Samaaya
Mere Pair Chuwe Uss Ne, Main Ne Ussey Gale Se Lagaya


Yeh Waqea Mere Dil Pe Sawaal Gehra Kar Gaya
Sochne Par Majboor Kiya


Kya Insaan Apne Ehsasaas Mein Marr Gaya
Kitne Bache Hain Jinhe Koi Sahara Mil Jaaye


Ek Acha Shehri Aur Insaan Ban Ke Woh Dikhlaye
Kitne Lachaar Hain Log, Jinki Zindagi Ek Andhera Hai


Unhein Zaroorat Hai Hamari Hum Unnka Sawera Hain
Mere Dil Mein Sirf Ek Sawaal Hai


Parhe Likhe Hain Hum Phir Bhi
Bhoole Hain Insaniyat Ke Khayaal Ko


Aao Mil Ke Iss Jahan Ke Dard Ko Baantein
Dard Ke Sookhey Jungle Ko Pyaar Se Kaatein

No comments:

Post a Comment