Monday, August 8, 2011

"Jism Ke Ek Kone Mein"




Jism Ke Ek Kone Mein Dil Hai Hum Sabke Paas
Maloom Nahi Zinda Hain Ya Marr Gaye Iss Ke Ehsaas


Samajhte Hain Hum Sab Khud Ko Darya Dil
Lekin Raah Mein Ek Chota Bacha Gaya Mil


Uss Ne Meri Puri Soch Badal Di
Mere Ehsasaas Ko Ek Nai Zindagi Di


Woh Masoom Sa Bacha Sarak Kinare Kuch Dhoond Raha Tha
Sardi Ke Maare Woh Buri Tarha Thatharr Raha Tha


Poochne Par Pata Chala Dhoond Raha Tha Woh Kuch Khaane Ko
Main Ne Kaha Kyun Zehar Dhoond Rahe Ho Marr Jaane Ko


Tan Pe Kuch Phate Huwe Kapre They Uss Ne Pehne
Haath Mera Thaam Kar Laga Woh Kehne


Bhaiya Bohat Dino Se Kuch Khaya Nahi Hai
Sarr Pe Mere Maan Baap Ka Saaya Nahi Hai


Ro Rahi Hai Bhook Ke Maare Meri Teen Saal Ki Behna
Kuch Khaaye Baghair Mushkil Hai Usska Chup Rehna


Yeh Sunn Ke Mera Kaleja Phat Gaya
Reh Gaya Main Bus Saktey Mein Khara


Sochne Laga Ho Sakta Hai Duniya Mein Itna Dard Kaisey
Yeh Soch Kar Usske Hath Mein Thama Diye Main Ne Kuch Paisey


Khushi Se Woh Bola, Kuch Kaam Do Ge To Karoon Ga
Saari Umr Aapko Duaayein Deta Rahoon Ga


Usski Khuddaari Mere Dil Ko Choo Gai
Dard Mein Usski Himmat Mere Dil Mein Utar Gai


Main Ne Ussey Poocha Parhne Kahan Jaate Ho
Woh Bola Sahab Kyun Ghareeb Ka Mazaaq Uraate Ho


Ban-Na Chahta Hoon Doctor Ek Sacha
Kar Sake Ilaaj Bin Paison Ke Bhi Acha


Kuch Soch Kar Unn Dono Ko Main Apne Ghar Le Aaya
Usski Zindagi Sanwaarne Ka Maqsad Dil Mein Banaya


Mere Bharose Ko Uss Ne Pura Kar Dikhaya
Apni Mehnat Se Doctor Ban Ke Saamne Aaya


Khushi Ke Maare Main Phoola Nahi Samaaya
Mere Pair Chuwe Uss Ne, Main Ne Ussey Gale Se Lagaya


Yeh Waqea Mere Dil Pe Sawaal Gehra Kar Gaya
Sochne Par Majboor Kiya


Kya Insaan Apne Ehsasaas Mein Marr Gaya
Kitne Bache Hain Jinhe Koi Sahara Mil Jaaye


Ek Acha Shehri Aur Insaan Ban Ke Woh Dikhlaye
Kitne Lachaar Hain Log, Jinki Zindagi Ek Andhera Hai


Unhein Zaroorat Hai Hamari Hum Unnka Sawera Hain
Mere Dil Mein Sirf Ek Sawaal Hai


Parhe Likhe Hain Hum Phir Bhi
Bhoole Hain Insaniyat Ke Khayaal Ko


Aao Mil Ke Iss Jahan Ke Dard Ko Baantein
Dard Ke Sookhey Jungle Ko Pyaar Se Kaatein

Tuesday, July 26, 2011

"Bachpan"

Wo Mere Bachpan Ke Din
Lamha Lamha Nadanion Ke Din

Wo Bar Bar Khilono Se Khelna
Wo Ukta Ker Un Ko Torna Phorna

Wo Aaker Madari Ka Dugdugi Bajana
Aur Nae Nae Bunder Ke Kurtab Dikhana

Wo Talian Bach'chon Ka Huns Ker Bajana
Aur Kehna Ke Uncle Zara Phir Se Dikhana

Wo Be-Fikr Galyon Mein Phirna Phirana
Wo Be baja Gharon Ki Ghanti Bajana

Wo Bin Pooche mummy Se Naddi Pe Jana
Aur Kaghaz Ki Kashti Bana Ke Bahana

Wo Uktahat Se School Ka Busta Uthana
Aur Chutti Ka Sun Ke Hansna Hansana

Wo Idhar Se Udar Uchal Kood Kar
Nachna Barish Ki Duaa Mang Kar

Shaoor Ne Aakar Aqal Soi Jagadi
Aur Cheen Li Mujh Se Meri Aazadi

Aur Khatam Hoi Meri Bachpan Ki Kahani
Bare Hoke Badal Gai puri Zindegani

Monday, July 25, 2011

" Main chota sa aik bacha tha"

cryingemo


Main chota sa aik bacha tha
teri ungli tham k chalta tha

Tu Door Nazar se hoti thi
Main Ansoo Aansoo rota tha

Ek khawabon ka roshan basta
Tu roz mujay pehnati thi

Jab darta th main raton ko
Tu apne sath sulati thi

Maan tune kitne barson tak
Es phool ko seencha hathon se

jeevan k poshida razon ko
Main sajha teri baton se

Main tere hath k takiye per
Ab bhi raat ko sota hon

Maa main aik chota sa bacha hon
Teri yaad main aaj bhi rota hon

"Dil Mera Aaj Bhi Qun Lagta Mujhe Chota Bachcha"


Dil Mera Aaj Bhi Qun Lagta Mujhe Chota Bachcha
Mujh Ko Lag Te Sabhi Sach Che Ya Mera Dil Sachcha
Mein Kisi Mein Bhi Burai Ko Nahi Padh Ta Hun,
Us Mein Achchai Hai Kitni Or Dil Kitna Sachcha,
Koi Bhi Dunia Mein Achcha Na Bura Hota Hai,
Waqt, Halaat, Banaa Dete Hain Jhuta Sachcha,
Har Insan Se, Insaniyat Se Pyar Karo Saab Tum,
Wo Ameer Hai Ya Garib Na Dekho Bachcha,
Pyaar Sab Se Jo Karoge To Khushi Paoge,
Har Kisi Ko Jo Lagaaoge Gale To Hai Achcha,
Pyaar Wo Cheez Hai Kam Hoti Nahi Dene Se Kabhi,
Jitna Bhi Do Ge Sabhi Ko To Hai Wo Achcha,
Pyaar Tum Ko Jo Kare Tum Bhi Karo, Badi Baat Nahi,
Joo Nahi Karte Tum Hai Pyar, Unko Karo Tab Hai Achcha,
Pyar Insaniyat Or Wafaa Ke Wade Sab Karo,
Or Phir Un Ko Bhulao Na Tum Tab Hai Achche,
Dukhon Mein Sath Khadha Ho Jab Koi Dost,
Wahi Hai Dost Tumhara Whi Bas Hai Achcha,
Khushi Mein Laakh Na Jao Kisi Ke Beshak Tum,
Gamon Mei Jake Gaale Sab Ko Lagaao Tab Hai Achcha,
 Apni To Ye Hi Dua Hai Sabhi Ke Liye Ae Jahaan Walo,
Har Ak Ka Dil Moom Ho, Har Ak Ban Jaaye Achcha.

Wednesday, July 20, 2011

"Bachpan Ki Ek Barsat"

Rainy Day Drawing wallpaper for HD 16:9 High Definition WQHD QWXGA 1080p 900p 720p QHD nHD ;


Bachpan Ki Ek Barsat
Barish Ka Wo Mausam Ho
Rim-Ghim Girti Bundaen Hoon
Nani Ka Wohi Angna Ho
Paeroon Main Wohi Payaliya Ho
Socha Kaise Bachauun Khud Ko
En Pagli Bundoon Sae
Tip-Tip Kar K, Mare Chahrae Pae
Moti Girae To Bawali Hogae Main
Hawa K Jhoonkae Jo Ae To
Saundhi Mitti Ki Khushbu Nasha De Gae Mujh Ko
Chanchal Payliya Nae Shoor Machaya To
Khud Ko Sambhal Nae Ko Main Bhagi
Par Na Jana Na Samjha
Chat Par Main Kaise Pahuch
Phir Wohi Bachpan Laut Aya
Phir Wohi Barish Nachna
Wo Kagaz Ki Kashti Main Dujae Des Jana
Phir Wohi Nani Ki Dant Khana
Nani Ka Wo Kehna Pardes Sa Aee Char Din Ki Mehman Hai Tu
Ho Na Jae Kahin Bemar Tu
Phir Nani Ki Goodi Main Sir Rakh Kar
Pariyon K Des Main Ghumna
Mamta Ki Us Godi Main Methe Nindiya Main Kho Jana
Kya Kisi Khab Se Hoon Jage Koi To Batade
Wakht Ko Koi To Pechae Modh Dae
Bita Wo Ek Hi Pal Koi Lauta De
Pardes Se Phir Ae Hai Yeh Teri Bitiya Par
Nani Yeh Ghar Ab Suna-Suna Lage
Tere Bin Yeh Barish Bhi Tufan Lage
Kis Des Ko Ho Gae Ki Ana Hi Bhuul Gae
Barish Se Huun Bhigi Ya
Ansuoon Main Huun Naha Gae Kya Kahoon
Bas Woh Bacnpan Ki Ek Barsat Laout Aee
Dil Bas Yahi Dua Mangae

"Wo Bachpan Ke Rangeen Khayalon Ki Duniya"

Wo Bachpan Ke Rangee.N Khayalon Ki Duniya;
Wo Dadi Ke Kisse Sawalon Ki Duniya .
Kahan Hain Wo Mere Khiloune Kahan Hain ;
Wo Chhoti Si Asha Ki Chhoti Si Duniya.
Wo Papa Ki Wahon Ka Jhoola Kahan Hai;
Wo Mitti Ki Haandi Wo Chulha Kahan Hai;
Kahan Hai Wo Mere Chaheeton Ki Mehfil;
Wo Jugnu, Wo Titly Sitaron Ki Duniya .
Ye Duniya Nahi Hai Luteron Ka Gher Hai;
Yahan Be-Imani Hi Sham-O-Shaher Hai;
Gunahon Se Dhokhon Se Mujhko Bacha Lo;
Khudaya Dila Do Wo Mashoom Duniya.
Mujhe Neend Aane Lagi Hai Na Chhedo,
K  Mai Aaj Yaro Bahut Thak Gaya Hoon;
Mujhe Raston Ka Tajurba Nahi Hai ;
Yehi Sochker Mai Jara Ruk Gayaa Hoon.
Meri Maa K Aanchal Mein Mujhko Sula Do;
Wahi Hai Wahi Haan Wahi Meri Duniya.

"Bachpan ke yadien"

Bachpan ke wo din the suhane, 
apna sa har pal hota tha
kabhi abbu ki dati kabhi 
ammi ka aanchal hota tha

ab to gaddo pe bhi neend ati nahi, 
aur sote the tab hum khali zamee par bhi
Jab ammi lori sunati thi, 
paththar bhi makhmal hota tha

ab to kisi ko bhi fursat nahi hai
ke do baat karle zara baith kar bhi 
tab hum ghanto milte the 
aur waqt bhi chanchal hota tha

kabhi to waqt laut ke aye
jab hum mahsoos kare befikripan
koi fikar na dimaag mein hoti
aur dil bhi komal hota tha